Jo Fatima ki rag e jaan Ali ka hay dilbar Hussain o minni kahain jisay shafa e mehshar Wo jis ka kar diya taraj Karbala may ghar Musibation ki hadain khatm ho gayen jis par
Garoh e chaak gireban salam karta hay
Khayam e Sheh ka nigehban Hussain ka bhai Wo jis ne ki thi Sakina ki ran may saqqayi Lab e Furat katay haath jis ke, moat aayi Wafa ne jis se jahan may hayat e nau paayi
Garoh e chaak gireban salam karta hay
Na maa ka doodh na pani mila jisay wo sagheer Wo jis ko dekh ke tukrray jigar ho wo besheer Wo jis ko le gaye maidan may hazrat e Shabbir Wo jis ka nanha gala aur Huramala ka teer
Garoh e chaak gireban salam karta hay
Jo quwat e dil e Laila tha khoobro wo jawan Wo jis ko dekh ke hota tha Mustafa ka guman Wo jis ne ain e jawani may khayi dil pe sina Wo jis ke biyah ka madar ko reh gaya arman
Garoh e chaak gireban salam karta hay
Wohi jo thay Shah e Karb o bala ke dil ka chain Wo kamsini may jinhe moat aayi haey Hussain Tha jin ki moat se khaimon may aik shor o shain Wo yani Zainab e aali nasb ke noor e ain
Garoh e chaak gireban salam karta hay
Wo jis ko seenay pe apnay sulatay thay Sarwar Wo jis ke kano se tapka lahoo chinay gowhar Yateem jan ke torrin musibatain jis par Rahi aseeron ki jo Shaam tak shareek e safar
Garoh e chaak gireban salam karta hay |