Doobi hui dukh ke saaghar may Suraj ke sunehri thali thi Is Chand ki das ko sanjh talak Shabbir se dunya khali thi
Baba hi ke dam ke sathi thay Akbar bhi gaye Asghar bhi gaye Taknay ko rahi aik aik ka munh Chati pe jo sonay wali thi
Yun jag may na lagi aag kaheen Is dhab se na ujrra bagh kabheen Sookhi hui patti patti thi Tooti hui daali daali thi
Haider ke gharanay walay sab Satwant bhi thay sawant bhi thay Sehjay may uthi li bandon ne Maalik ne jo bipta dali thi
Sarwar pe Hasan ke vidhwa ne Do chand se tukrray war diye Bachay to jiyalay thay hi magar Mata bhi barray dil wali thi
Kia lut ke gaye Karbal se haram Jab aayi hain sakhyan milnay ko Jis mang ko dekha ujrri thi Jis goad ko dekha khali thi
Ye jee se guzarnay walay thay Ye baat pe marnay walay thay Kab moat se darnay walay thay Sao bar ki dekhi bali thi
Najmi ye Hussaini chokhat hay Yaan aa ke muradain milti hain Is dawar se bhiksha le ke chalay Aaye thay to jholi khali thi |