Darshan ka ujala le ke chalay Ankhon may andhera chorr gaye Akbar ko kahan ki jaldi thi Baba ko akaila chorr gaye
Asghar ko thi ran ki dhun may kahan Maa tak dharrktay dil ki khabar Nanhay se sipahi khaimay may Thahra hua jhoola chorr gaye
Abbas ne darya cheen ke bhi Bachon ki hi khatir mashk bhari Pyasay thay magar pyasay hi phiray Darya ko chalkta chorr gaye
Qaidi to bohat se dekhay hain Poochay koi un ke jee se magar Jo goad ke palay bachon ko Maidan may sota chorr gaye
Sar kat ke koofay walon ne Ye aur naya apradh kia Maidan ki jalti reti par Shabbir ka lasha chorr gaye |