Ek baar mujhe baba ka deedar kara do
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi



Taboot chala ghar se to Zainab ye pukari
Sau baar behen aap pe qurbaan mere bhai
Ek baar mujhe baba ka deedar kara do

Taboot chala ghar se to Zainab ye pukari
Ek baar mujhe baba ka deedar kara do

1. Ye daagh yateemi ka na seh paungi bhayya
bin baap ke zinda nahi reh paungi bhayya..(2)
deti hu tumhe khaliqe akbar ki duhai
Ek baar mujhe baba ka deedar kara do

2. Dil ghum se phata jata hai ankho me nahi noor
Kulsoom tadapti hai to abbas hai ranjoor..(2)
Mano ye meri baat ke zainab hai duhaai

3. Amma hai nahi sar pe na ab baap ka saaya
Ye kaisi musibat ki ghadi aayi khuda ya..(2)
Abbas zara roklo badhkar ye sawari

4. Baba to mera saare zamane ka wali hai
Mehboob e khuda wand hai damaad e nabi hai..(2)
Kis jurm pe zalim ne hai talwaar lagai

5. Sajde me kiya qatl Mohammad ke wasi ka
Kyu khoon bahaya hai imam e azali ka..(2)
Hay hay bine muljim ka zara sharm na aai

6. Jibreel ka ustad mohammad ka wafadaar
Masjid me hua qatl zamane ka madadgaar..(2)
Koofe me har ek simt ghata ghum ki hai chhai

7. Rukh karke baqiyya ki taraf boli wo ghumkhwaar
Kyu aale Mohammad hai musibat me giraftaar..(2)
Amma mere baba ko ye kaisi ajal aai

8. Ab kaun yateemo ka khabargeer banega
Majboor ka laachar ka dilgeer banega..(2)
Kaunain ke mukhtar se hoti hai judai

9. Ye kehke azeem hogai behosh wo muztar
Mai jee ke karu kya jo nahi hai dare safdar..(2)
Is bayn se kulsoom pe ghash hogaya taari

ek baar mujhe baba ka deedar kara do
Taboot chala ghar se to zainab ye pukari
Sau baar behen aap pe qurbaan mere bha