Karbala muntazir e ma ast biya ta be raweem Jaade raah ast muhayya ast biya taberaweem Karbala muntazir e ma ast biya taberaweem
1. Raasta humko shahadat ka bahattar se mila azm kitna hume zakhm e ali akbar se mila khoon kitna hume abbas e dilawar se mila hausla faujo ko nanhe ali asghar se mila kitne maula ke hai ehsaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma ast biya taberaweem
2. Raah purkhaar hai dushwaar hai chalne ke liye kuch sahara nahi girte ko sambhalne ke liye muntazir khoon hai gardan se nikalne ke liye ghode tayyar hai laashe ko kuchalne ke liye shaah hai aap ke mehmaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma ast biya taberaweem
3. Tashnalab logo ke ye khoon ka darya dekho tukde tukde jo hai qasim ka ye lasha dekho bhai abbas ke ye daste burida dekho lashe asghar liye ye kaun hai tanha dekho bhargaya laasho se maidaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma ast biya taberaweem
4. Wo yazeedi jo the duniya ke hawis ke maare kardiye deen ke ehkam mo attal saare farsh par toot gaye arsh e khuda ke taare khaak aur khoon me ghalta the wo bikhre paare nauke naiza pe hai quran biya taberaweem Karbala muntazir e ma ast biya taberaweem
5. Koi eezaa na pohoch paye nabi ghar ko raahe shabbir me hum ab bhi kata de sar ko teer lag jae na hurmal ka ali asghar ko koi barchi nahi lag jae ali akbar ko jaan par waar do tum jaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma ast biya taberaweem
6. Jism pamaal hai qasim ka shikasta sar hai laash reti pe hai ab muh se zaba bahar hai jiske sine se ubalta hai lahu akbar hai teer gardan me hai jiske ye ali asghar hai hai lahu tahade imkaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma ast biya taberaweem
7. Qaid khane ki musibat me koi aas nahi baap ka sar bhi tasalli ke liye paas nahi aaj bachi ki madad ke liye abbas nahi kab se pyasi hai sakina tumhe ehsaas nahi ye sada deta hai zindaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma ast biya taberaweem
8. Muntaqim karbobala ka wo abhi aayega jo husaini hai wo lashkar me abhi pohchega kaun aulad ko nusrat ke liye bhejega kaun akbar ke kaleje se sina khechega ye husaini ka hai paighaam biya taberaweem Karbala muntazir e ma ast biya taberaweem
9. Aapko zaat ke patthar se bhi ladna hoga aapko arzo e zan se bhi ladna hoga aapko nafs ke lashkar se bhi ladna hoga sirf bahar nahi andar se bhi ladna hoga maanglo jung ka samaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma ast biya taberaweem
10. Nasire mehdiye haq janibe kaaba aaja chhod kar daulat e duniya ki tamanna aaja faisla hurr ki tarah karke tu aaja aaja muntazir tere hi ghaibat me hai maula aaja tujhpe qurbaan meri jaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma ast biya taberaweem
11. Kaash aye kaash koi hota wafa ka meyaar kaash aye kaash koi rakhta mukammal qirdar koi tameer kara deta baqaiyye ka mazaar kaash hum me koi hota janabe mukhtar hai kaha aisa musalmaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma ast biya taberaweem
12. Kaash aye kaash bane karbobala ka lashkar Kaash aye kaash mile aakhri wo fath o zafar Kaash jaari rahe maula ki ye nusrat ka safar karbala muntazir e mehdiye daura hai qamar dekho tayyar hai maidaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma ast biya taberaweem
Husain husain husain |