Maa aaye hay mazloom meray laal Hussaina Aa ja meri aaghosh may behaal Hussaina Maqtal may baqeya se thi jis waqt may pohonchi Ghorron se teri lash thi pamaal Hussaina
Meray laal Hussaina Meray laal Hussaina
Haey haey meray betay ka badan khoon may tar hay Aulad e Payamber ke ujarrne ki khabar hay Poshak hay zakhmo se teri laal Hussaina Meray laal Hussaina
May ho gaye barbad qayamat ki gharri hay Be goar o kafan ran may teri lash parri hay Ghurbat may tera ho gaya kia haal Hussaina Meray laal Hussaina
Na zeen pe lasha hay tera aur na zameen par Aa ja aey meray laal tera sar zano pe rakh kar Bandhoon gi teray sar pe may roomal Hussaina Meray laal Hussaina
Yeh qol e payambar hay Muhib mit na sakay ga Ik qaum zamanay may Khuda khalq karay ga Gham tera manaye gi jo har saal Hussaina Meray laal Hussaina
Phat jaye na sadmay se maa ka kaleja Aakhain to zara khol maa aayi hay beta Banhon ko galay daal meray laal Hussaina Meray laal Hussaina |