Darmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Darmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab
Is andharay may kisay dhond rahi hay Zainab

1) Sab ki nazrain hain chamaktay huay khanjar ki taraf
Bhai ka khusk gala dekh rahi hay Zainab
Darmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab

2) Hath utha kar karoon kis tarha se lashon ko salam
Hath rassi may bandhay hay khari hay Zainab
Darmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab

3) Chor kar bhai ko maqtal se ho rukhsat kaisay
Lash uthi hay phir uth ke giri hay Zainab
Darmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab

4) Sheh pe chaltay huay khanjar ko bhala kia maloom
Kis tarha khak pe ghash kha ke giri hay Zainab
Darmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab

5) Teray sar par yeh na nilay nikaltay dam tak
Teray balon may jo yeh khak pari hay Zainab
Darmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab

6) Din ki dhop aah gaye aur raat ki oos aa bi gaye
Saj raha hay ab bhi darbar khari hay Zainab
Darmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab

7) Deen bachanay ke liye ghar se jo nikli thi Naved
Bach gaya deen magar kaisay luti hay Zainab