Salam - Qaid khane me Sakina (sa) ye bayan karti thi, KyaAndhera hai Phupi. Shamma mangwayie warna may nahi jeenay ki, KyaAndhera hai Phupi. Apne seenay se lagalo mai tumhare sadqe; Goad me le lo mujhe; Dil dharakta hai mera khauf se tharrata hai ji. Kya Andhera hai Phupi. Kyun layeen qaid me laye hain mujhe kya maloom; Haye baba mazloom; Gaye maidan ko jis din se khabar meri na li. Kya Andhera hai Phupi. Baba aa jate to phir Shimr ko hota maloom; Kaun hay ye masoom; Kya samajh kar mujhe yun ghurkiyan deta hai shaqi. Kya Andhera hai Phupi. Aaj ki shab ko bhi kya baba nahi aayengay; Mujh ko tarpayenge; Unke seene pe agar soti to neend aa jati. Kya Andhera hai Phupi. Baad mere jo yahan howe pidar ka aana; Unse ye farmana; Mar gayi ghut ke andheray me tumhari beti. Kya Andhera hai Phupi. Sabr karti hun magar ho nahi sakta mujhe se; Yaanse lay chaliye mujhe; Warna pachtao ge zinda na rahun gi mai kabhi. Kya Andhera hai Phupi. Pani lanay ko kahan rooth gaye mujh se chacha; Aap hi sochain zara; Hotay ammu to mai is tarha tamachay khati.
|