Dekhti reh gayi beti Hussain ki
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Dekhti reh gayi beti Hussain ki
Kitni majboor thi beti Hussain ki

Joarr kar hath apnay baba ko
Asr e Ashoor shah e wala ko
Rokti reh gayi beti Hussain ki
Haey kitni majboor thi beti Hussain ki

Koi imdad ko nahi aaya
Uth gaya sar se baap ka saaya
Dhoondti reh gayi beti Hussain ki
Haey kitni majboor thi beti Hussain ki

Bola zalim ke Shamiyon jaoo
Ab kaneezi may lo Sakina ko
Kampti reh gayi beti Hussain ki
Haey kitni majboor thi beti Hussain ki

Kon seenay pe ab sulaye ga
Kon mujh ko galay lagaey ga
Soochti reh gayi beti Hussain ki
Haey kitni majboor thi beti Hussain ki

Ik qayamat guzar gayi dil par
Jab chala Sheh ke halq pe khanjar
Dekhti reh gayi beti Hussain ki
Haey kitni majboor thi beti Hussain ki

May yateemi hoon na mujhe maaro
Goshwaray meray nahi cheeno
Mangti reh gayi beti Hussain ki
Haey kitni majboor thi beti Hussain ki

Dekha bazaar e Shaam ka manzar
Sar chupanay ke wastay chadar
Mangti reh gayi beti Hussain ki
Haey kitni majboor thi beti Hussain ki

Bas andheray may mar gayi Zakir
Qaid zindaan may roshni yaas se
Dhoondti reh gayi beti Hussain ki
Haey kitni majboor thi beti Hussain ki