Ali walay hain ham ham ko mitanay kon aaye ga Mawaddat ke charaghon ko bujhanay kon aaye ga
Ali ko tu ne mana hi nahi mushkil kusha waaez Bata ab nazaa may teray sarhanay kon aaye ga
Payambar is liye bhi mutmayin thay jang e Khaibar may Bhanwar may deen ki kashti bachnay bachanay kon aaye ga
Himayat ghasibon ki karnay walo kuch ye socha hay Tumhay naar e Jahannum se bachanay kon aaye ga
Ghulaman e Abu Talib hain ham dekhain gay mehshar may Wahan par kufr ke fatway laganay kon aaye ga
Abu Talib ke beton ki tarha Islam ki khaatir Khud apnay khoon se maqtal sajanay kon aaye ga
Kaha ho ga Ali ke zakhm se girtay huay khoon ne Rida e Zainab e Muztar bachnay kon aaye ga
Ali ne chahnay walon se shayed ye bhi poocha ho Meray Shabbir ka lasha uthanay kon aaye ga
Tamachay Shimr ke kha kar Sakina roey gi jab bhi Sakina ko sitamgar se bachanay kon aaye ga
Zafar meri tasalli ke liye maloom hay mujh ko Meri turbat may bakhshish ke bahanay kon aaye ga |