Khoad kar nanhi lahad kehtay thay ye tashna kaam Aey Ali Asghar meray teri shujaat ko salam
Jo hua nabyon se na wo kam ho tum kar gaye Hamsari Akbar ki kar ke tum bhi naize par gaye Kartay hain sab ambiya teri shahadat ko salam Aey Ali Asghar meray teri shujaat ko salam
Teri ik muskan ne Hurmal ko pagal kar diya Jo thi mushkil deen ki us ko tu ne hay hal kar diya Deen ki hay tanweer t uteri hay jurrat ko salam Aey Ali Asghar meray teri shujaat ko salam
Nana se hizyan ki tohmat dhonay walay aey sagheer Nanhay se nazuk galay se toarr dala tu ne teer Arsh ke kartay makeen hain teri azmat ko salam Aey Ali Asghar meray teri shujaat ko salam
Hashmi hay khoon tu tujh sa jari koi kahan Hain gawah teri shujaat ke zameen ye aasman Khuda fazeelat karti hay teri fazeelat ko salam Aey Ali Asghar meray teri shujaat ko salam |