Ae wafadar-e-Hassan (as) Ae alamdar-e-Hussain (as), Karti thi Zainab (sa) suqan, Ae alamdar-e-Hussain (as).
Zainab-e-dilgeer se kyun juda tu hogaya, Alqama par chain se bhayi kyun tu sogaya, Hogayi tanha behen, Ae alamdar-e-Hussain (as).
Haat jab katne lage mashk daanton me liya, Sar se khoo(n) behta raha dhyan pyaason ka raha, Ae mere tashna dahan, Ae alamdar-e-Hussain (as).
Ek taraf Kubra ka gham ek taraf gham byah ka, Karbala ke dasht me Qaasim-e-naushah ka, Hogaya tukde badan, Ae alamdar-e-Hussain (as).
Jism par Shabbir (as) ke teer barsaye gaye, Laashae mazloom par ghode daudaae gaye, Bat gaya tukdon me tan, Ae alamdar-e-Hussain (as).
Ghar jale zewar chine hogaye ham be rida, Is Andheri raath me ab kahan jaye bhala, Be Kason ki anjuman, Ae alamdar-e-Hussain (as).
Chor kar tu chal basa hai be rida Hamsheer ko, Ye to batlade zara be kafan Shabbir (as) ko, Kon dega ab kafan, Ae alamdar-e-Hussain (as).
Ye tera nauha Mujeeb aur Razi ki wo zaban, Ro ke karti thi bayan Aun aur Jafar ki maa, Lut gaya mera chaman, Ae alamdar-e-Hussain (as).. |