Aag seenay may lagata raha behta pani (x2) Baad e ashoor aseeron ne jo dekha pani
Jab alamdar ke bazo ko qalam dekh liya Phir aseeron ne kisi se bhi na manga pani
Aik hasrat se wo darya ki taraf dekhti hay Bachay aa ke jo kehtay hain Sakina pani
Wada Asghar se nibhatay huay dam toarr gaye Saey may aayin na maa ne piya thanda pani
Turbat e sani e Zehra ki mujawar ban kar Raahgeeron ko pilati rahi Fizza pani
Kash Saqlain meray khawab ko tabeer milay Martay dam meray galay se nahi utra pani |