Aa gaya wapas janaza khuld ke sardar ka Ban gaya matam kada ghar (x2) Ahmed e Mukhtar ka
Na chalao na chalao teer is ki laash par Ye nawasa hay laeeno (x2) Syed e Abrar ka
Khainchti hay laash se teeron ko bint e Fatima Ab nigahon may hay manzar (x2) Shaam ke bazaar ka
Ya Hasan lut jaye gi chadar teri hamsheer ki Samna bhai karay ga khanjar e ghamkhar ka
Momino taaza hua phir se fadak ka masala Aashkara ho gaya (x2) ab raaz us inkaar ka
Qol sab jhutla diye ummat ne Shah e deen kay Bugz ghasab ke dilon may (x2) Haider e Karrar ka
Kahir ho Shehzad bint e Fatima ki khair ho Pesh laazim aaye ga (x2) ab waqea darbar ka |