Karbala say sham tak Sajjad khoon rota raha
Efforts: Hasnain Mehdi

Karbala say sham tak Sajjad Khon Rota raha
Dekhy lashy bekafan ZAINAB ko dekha be rida

Zakham hi zakham thy pao me chalay kasay bimar
Kar diya bora u say Jis nay wo hai sham bazar

Raho me Ro Ro k wo ZAINAB ki chadar mangta
Lash Akbar ki jawan dekhi waha Khon me ter

Nok e niza pay chara dekha hai asghar ka bi sir
Dekha sir Abbas ka ghoray ki garden me para

Aisay abid pay karo zulm ye uth na pay
naam lety raho ZAINAB ka esay gush aye
Mar na Jay e raho ne ZAINAB tanha asra

Nok e neza pay rida es ko dikhaty jao
sham tak Khon mohari ko rolaty jao

Har qadam pay ye kahy hay sham ZAINAB berida
Ghr jo ZAINAB ko bazaro me na laty mehdi

Khon e shabir ko Sajad na bhola tha kabhi
ZAINAB o Sajad k khotbo say zindan deen howa