Duniya se jaa rahi hai Baba ki Azadar Taa hashr rulaye ga ye darbar
Baba tere mimber se jhutlaye gawah meray Thukra di musalman ne hans kar teri dastaar
Cheena hai fidak Baba ye dukh nahi Zahra(sa) ko Par bhool na paaon gi zaalim ki main guftaar
Jis dar pe Nabi(saw) aa kar tazeem ko rukte the Ummat ne jala dalay wohi dar-o-deewar
Kyun laadli meri ko ronay na diya tumne Kya bolo ge ae logo jab puchein ge Sarkar(saw)
Shahid Gham-e-Zahra(sa) hi momin ki ibadat hai Jannat mein bhi hum hon ge matam ke talabgaar |