Zinda me Sakina ye buka karti thi rokar Dam ghut-ta hai amma mera, ab ya se chalo ghar
1. Kya andhera hai sujhaee nahi deta kuchh bhi Haath rakhta nahi amma mere sar par koi Aur chand roz me mar jaoongi mai ghut ghut kar
2. Neel rukhsar pe kaano se lahoo taaza hai Kuchh mere dard ka Amma tumhe andaza hai Raat din roti hu karde koi baba ko khabar
3. Pyaas se khushq hai rassi se galaa hai zakhmi Us pe ye zulm ke rone bhi nahi dete shaki Ghurkiya shimr jo deta hai to phat-ta hai jigar
4. Khaak pe soti hu baba ka nahi hai seena Kitna dushwar hai is ranjo mahan me jeena Raat din roti hu karde koi Baba ko khabar
5. Khu bhara kurta badal do mera pyari Amma Apni godi me sula lo mujhe wari Amma Sone deta nahi ik pal bhi mujhe hijre pedar
6. Tum to kahti thi rihaee ki ghari a pahuchi Aisa lagta hai judaee ki ghari a pahuchi Hu bahut milne ko Baba aur Chacha se mauntazar
7. Neend aati na thi rehan jise wo bachhi So gaee shaam ke zindaan me ye kahti huee Chain se soyungi jaaongi jo zindaan se ghar
|