Gar Fazeelat Rasool-Zaadi Ki Zehen E Insaan Mein Sama Jaati
Na Hi Bibi Ka Haq Ghasab Hota Aur Na Darbar Fatima Jaati
Jis Ne Sab Betiyon Ki Izzat Ki Uski Beti Rulayi Hai Tum Ne Jis Ki Tazeem Ambiya Kartay Wohi Zahra Satayi Hai Tum Ne Khaali Darbar Se To Jaati Hoon Par Nahi Kar Ke Badua Jaati
Haal Kesay Bayan Karoon Logo Jis Ghari Ghar Batool Ka Hai Jala Jalta Darwaza Paak Bibi Ke Haye Pehlu Pea An Kar Hai Laga Boli Fizza Ke Ya Ali Aao Warna Dunia Se Syeda Jaati
Meri Tazeem Ko Meray Baba Yaad Hay Sar Jhukaye Uth-Te The Jab Kabhi Bhi Jahan Mein Roti Thi Mujh Se Pehlay Hi Wo Ro Partay The Aj Roti Hoon Saray Haste Ho Ho Ke Naraaz Fatima Jaati
Pucha Zainab Ne Amma Batlao Kya Musalmaano Ne Salook Kiya Boli Beti Se Ro Ke Mehrooma Meri Tehreer Ko Hay Chaak Kiya Meray Jhutlaye Dono Betay Bhi Ghash Ye Keh Kar Batool Kha Jaati
Aal E Ahmed Khuda Ki Hujjat Hain Fatima Aal Par Bi Hain Hujjat Jisko Kethay Ho Masla Bhuli Dar Asal Wo Hijab E Qudrat Hain Zakhmi Pehloon Ko Lekay Duniya Se Aj Tafseer E Ina Ma Jaati
Haan Hasan Gar Saqifa Na Hota Qatl Zahra Ka Na Kabhi Hota Zarb Khatay Ali Na Kufay Mein Ghar Hasan Ka Janaza Na Aata Vakeya Karbala Ka N Hota Shaam Zainab Na Be-Rida Jaati |