Sajjad may Zainab hoon
Efforts: Syed Hammad Raza



Sajjad me zainab hu
mere sar pe rida koi nahi bazar–e–jafa

Majma hay kofioon ka
meray chalnay ki jaa koi nahi bazar–e–jafa

Sajjad me zainab hu
mere sar pe rida koi nahi bazar–e–jafa

1. Sajjad merey sar say no bar chhini chadar,
balway me nabi zadi phirwai gai dar dar,
mil jaey rida mujh ko aur meri dua koi nahi bazar–e–jafa
Sajjad me zainab hu
mere sar pe rida koi nahi bazar–e–jafa

2. Sajjad chaloun kaisay lakhon he tamashai,
yad aata hay rah rah kay abbas mera bhai,
faryad karu kis say ab teray siwa koi nahi bazar–e–jafa
Sajjad me zainab hu
mere sar pe rida koi nahi bazar–e–jafa

3. Sajjad merey dil ko yey dard satata hay,
Sar ghazi ka naizey say jab khak pe aata hay,
sar mera khula dekhey gham is say bara koi nahi bazar–e–jafa
Sajjad me zainab hu
mere sar pe rida koi nahi bazar–e–jafa

4. Maloom hay aada ko ghazi ki bahan hu me,
bay dast hay woh ghazi paband-e-rasan hu me,
yaad aayi wafa us ki jab paas raha koi nahi bazar–e–jafa
Sajjad me zainab hu
mere sar pe rida koi nahi bazar–e–jafa

5. Majboor hu bay bas hu me ro bhi naheen sakti,
durron ki aziiat say me so bhi naheen sakti,
is darja musibat me hamdard mera koi nahi bazar–e–jafa
Sajjad me zainab hu
mere sar pe rida koi nahi bazar–e–jafa

6. Sajjad teri halat dekhi naheen jati hay,
bay parda mujhay dekhey yey baat rulati hay,
Sajjad teri tarha kanton pe chala koi nahi bazar–e–jafa
Sajjad me zainab hu
mere sar pe rida koi nahi bazar–e–jafa

7. Maut aaey gi zindan me meri bali sakina ko,
kia jakey bataoungi bimar-e-madina ko,
gham dil pe uthaney ko ab baqi bacha koi nahi bazar–e–jafa
Sajjad me zainab hu
mere sar pe rida koi nahi bazar–e–jafa

8. Jaata hay suoey zindan ab kunba muhammad ka,
rassi me bandhey qaidi kanton say bhara rasta,
ummat nay sitam dhaey qismat say gila koi nahi bazar–e–jafa
Sajjad me zainab hu
mere sar pe rida koi nahi bazar–e–jafa

9. Bazar-e-sitam me tha Zainab ka ajab aalam,
mazhar me likhu kaisey zalim nay kaha jis dam,
hay kon tera waris Zainab nay kaha koi nahi bazar–e–jafa
Sajjad me zainab hu
mere sar pe rida koi nahi bazar–e–jafa