Saahil ki taraf dekh ke kehti thi ye Zainab Abbas kahan ho meray Abbas kahan ho
Zainab ki yeh faryad hay daaman me chupalo Abbas Sakina ko tamacho se bacha lo
Kehti hai Sakina ke ajab haal hay ajab haye Kuze liye baithi rahi ammu nahi aaye Baba bhi nahi kaun yahan humko bachaye Ek baar isay dastey burida may utha lo
Seena isay baba ka mayassar nahi tabse Zindan ki zamin par yeh agar soye toh kaise Abid ki yeh zanjir pe sar rakhe huay hay Le jao isay goad me bacchi ko sulalo
Zinda may zara chain nahi paati hai bachi Dukh had se guzarta hay toh chillati hay bachi Jab Shimr hay barhta to laraz jati hai bachi Imdad karo bhai yateema ko dua do
Sar par mere chadar nahi kuch aas nahi hay Maalum hay zinda mera Abbas nahi hay Kehti hay Sakina ke mujhe pyas nahi hay Mai kis se madad mangu Sakina ko sambhalo
Beemar madad is ki koi kar nahi sakta Dar jati hai ye jab hay koi is ko jhidakta Kano se lahu is ke abhi tak hay tapakta Kehti hay chacha jaan mujhe paas bulalo
Chillati hay zindan me kidhar jaye Sakina Aisa na ho tanhayi me dar jaye Sakina Baba se judai may na mar jaye Sakina Saahil se utho qaid se ab isko chudalo
Zindan me Zainab ki Qamar hay yahi faryad Zinda na Sakina rahi itni hui bedar Tadfeen ho kaise hay ke zanjeer may Sajjad Mayyat ko Sakina ki koi badh ke uthalo |