Haaae Jo pohcha asr ko dashte bala me Zaafar e jinn Ghira ajeeb gham e narawan me Zaafar e jinn
Hae sitam wo dekhta hai karbala me Zaafar e jinn Ke mubtila huwa gham ki fizaa me Zaafar e jinn
Bohot hi tanha shahe khush khisal ko dekha Ke choor zakhmo se zehra ke laal ko dekha
Jo pocha asr ko karbobala me Zaafar e jinn x3 Haae machal ke Zaafar e jin ne nikal li talwar
Buland karta tha jismi lakal fida ki pukaar Husain ko jo ye manzar nazar para aik bar
Pukar kar kaha zafar na kar abhi paikar Bala ke bal me na ham yu larai chahte hai
Khuda se ummat e jadd ki bhalai chahte hai Jo pocha asr ko karbobala me Zaafar e Jinn x2
Haae qareeb aa gaya ye hukm sunte hi Zaafar Nazar para use andoh naak aik manzar
Ke zuljana ki thame lajam hai Haider Amama sar se utare khare hai Paighambar
Wahan the Nooh o Zabeeh o Khaleel aae huwe Khare the musa o eesa bhi sar jhukae hue
Jo pocha asr ko karbobala me Zaafar e Jinn x2 Haae qadam ko choom ke sheh ke pokara ye Zaafar
Mere imam mere muqtada mere rehbar Lahu rulata hai mujhko ye khu fashan manzar
Na janesar koi aur na nasir o yawar Na lashkar e na sipah e na kasratun naase
Na Qasim e na Ali Akbar e na Abbase Jo pocha asr ko karbobala me Zaafar e Jinn x2
Hae Husain le gae zafar ko tab sue maidan To dekha sota hai darya kanare aik jawan
Kate hai hath to shano se bhi hai khoon rawan Kaha Husain ne Zaafar se ba dile giryaan
Ye hasrato ka badan yaas ka ye lasha hai Hamari jaan ka abbas ka ye lasha hai
Jo pocha asr ko karbobala me Zaafar e Jinn x2 Haae Husain tab sue maqtal chale ma’e Zaafar
Wahan zamin pe lashe jawan aai nazar Husain bole ye hai hum shabih e paighambar
Hamare jaan o jigar aur hamare noor e nazar Jigar pe neza laga pusht se huwa bahar
Sina ke sath kaleja bhi agaya bahar Jo pocha asr ko karbobala me Zaafar e Jinn x2
Haae to pucha Zaafar e jinn ne ye gathri me kia hai Husain ro ke pukare ke aik dulha hai
Mere akhi Hasan e Mujtaba ka beta hai Sitam se ghoro ki taapo ne isko kuchla hai
Hai sehra hath me khwahar bhi intezaar me hai Dare khayam pe madar bhi intezaar me hai
Jo pocha asr ko karbobala me Zaafar e Jinn x2 Haae kaha Husain ne ab tu yahan se ja Zafar
Jo anbiya bhi yahan hain na koi thehre idhar Faqat rahain ge yahan mere nana paighambar
Rahainge bhaiya hasan aur rahega mera pidar Bala ke dasht me Ahmed ki pyari aati hai
Falak se ab meri maa ki sawari aati hai Jo pocha asr ko karbobala me Zaafar e Jinn x2
Haae bawaqt e asr chali karbala me tez hawa Malaika liye utre sawari e Zehra
Pisar ko bibi ne barh kar gale se liptaya Rakha Husain ne zanu pe maa ke sar apna
Kaha mujhe wahi lori suna do ay amma Ke neend aati hai mujh ko sula do ay amma
Jo pocha asr ko karbobala me Zaafar e Jinn x2 Haae bayan ho kaise ay majid wo khu fashan manzar
Dubara dasht me aaya palat ke jab zafar To dekha chal gaya halqoom e shah par khanjar
Baland neze pe tha Shadman Husain ka sar Machi thi loot nabi ke khayam jalte the
Saro ko peet-te ehle haram nikalte the
|