tha khaimo me kohraam bapa sabran zainab maghmoom thi saari karbobala shabbir salame akhir ko aae to yahi thi labpe sada sabran zainab..(8) zainab zainab zainab zainab sabran sabran ya zainab..(2)
1. Hai peshe nazar khaliq ki reza har laash uthakar laata hu hai tere hawale zarf o niba mai janibe maqtal jata hu jab akhri rukhsat ko aae..(2) shabbir ne ye zainab se kaha sabran sabran ya zainab..(2)
2. Sab margae meri baari hai ab teri ye zimmedari hai roye na sakina mere bina ye bachi jaan se pyari hai pamaal sue aspaa hoga..(2) zainab tere bhayya ka lasha sabran sabran ya zainab..(2)
3. mai jaata hu maqtal ki taraf ab naizo me talwaro me paigham mera pohchana hai darbaro me bazaro me mazloom hamesha zinda hai..(2) allah ka rahega naam sada sabran sabran ya zainab..(2)
4. ae zainab mai zinda hu abhi ankho me nahaye tere nabi sabir ki bahen banke rehna ae binte nabi ae binte ali jab shame ghariba aae behen..(2) ho lab pe tere shukran shukran sabran sabran ya zainab..(2)
5. Teero pe badann hoga mera aegi sadae wawaila awaaz ye hogi amma ki aur khaak udaenge nanaa aur baba ali ke roze par..(2) jibreel karenge aaho buka sabran sabran ya zainab..(2)
6. Allah nigehbaa hai tera ai binte ali binte zehra ye ehle jafa ye ehle sitam jab cheen le tere sar se rida allah ko rakhna apne gawah..(2) wo malik hai maula tera sabran sabran ya zainab..(2)
7. akhir ye qayamat ka manzar kis tarha sunaega safdar kese ye kahu ae ehle aza akho me lahu phatta hai jigar bhai se lipatkar bibi ne..(2) jis waqt kaha ab na kehna sabran sabran ya zainab..(2) |