Maqtal se yehi aati thi sada Koyi na raha sannata hay
Pardes may aa kar kaun luta Koyi na raha sannata hay
Allah ye kaisa manzar hay Jo lash bhi hay wo be sar hay Behta hay yahan khoon ka darya Koyi na raha sannata hay
Hay aaj fizain bhi ghamgeen Lashon ke sarhanay koi nahi Chaayi hay falak par gham ki ghata Koyi na raha sannata hay
Kuch khaimay nazar aatay hain jalay Aur sookhay huay tootay koozay Kia qafila tha ye pyason ka Koyi na raha sannata hay
Ye lash hay kis shehzaday ki Kis tarha hua seena zakhmi Qismat ne sitam kis maa pe kiya Koyi na raha sannata hay
Hain qad may barabar do lashay Doobay hain lahoo ke darya may Dono ko ajal ne loot liya Koyi na raha sannata hay
Ye maara gaya hay kaun haseen Sehra hay kaheen kangna hay kaheen Kaise ye sitam dunya ne kiya Koyi na raha sannata hay
Ik shair parra hay saahil par Haibat ka abhi tak ye hay asar Sehmi sehmi chalti hay hawa Koyi na raha sannata hay
Har simt udasi chaayi hay Teeron pay kisi neend aayi hay Be goar o kafan lasha hay parra Koyi na raha sannata hay
|