Ash’hadu Anna Ali un Wali Ullah (x2) Ali (as) (x4) Ya Ali (as) Ya Ali (as) (3) Haye Ali Haye Ali (x2)
Zahra (sa) say pocho kia hai Ali un Wali Ullah Iss k liyay Batool (sa) ka do bar ghar jala Baghdad Sham o Kufa Khurasan o Karbala Ummat nay Fatima (sa) ko kahan dukh nahi dia Sub kuch lutaya deen ki hifazat k wastay Or ab Zahra (sa) ujjar gai hai wallayat k wastay
Darbar may bachanay (x2) gai Fatima Zahra (sa), Ali un Wali Ullah (x6) Sunta na tha Madinay may Zahra (sa) ki koi baat Lay ker Hassan (as) Hussain (as) ko her subah apnay sath Ghar ghar pe yad ja k (x2) dilate thee Syeddah, Ali un Wali Ullah (x4)
Gham may Abu Turab k ghut ghut k mer gai Dar perdah Fatima ki waseeat ye he tu thee I na wo janazay per (x2) jis nay nahi perha, Ali un Wali Ullah (x4)
Toti hoi theen pasallian dam tha ruka hoa Tha Syeddah pe jalta hoa der gira hoa Phir bhi lab e Batool (sa) pe (x2) jari the ye sada, Ali un Wali Ullah (x4)
Zainab (sa) pukari aye meray mazloom bay’watan Waada tumhari laash pe kerti hai ye behan Ik din zaror Sham ki (x2) galli’un may gonjay ga, Ali un Wali Ullah (x4) I Najaf say Shaam e Gharibaan may jb Ali (as) Zainab (sa) ye keh ker apnay pidr say lipt gai Khanjar talay bhi bhai k (x2) zakhami lab’un pe tha, Ali un Wali Ullah (x4)
Boli Sakina (sa) aya jo zindaan may Shah (as) ka sir Kaisay bataon Sham ka kaisay kia safr Gir gir k khoon kaan’un say (x2) deta raha sada, Ali un Wali Ullah (x4)
Zindaan may aik qabr bananay k wastay Ham’sheer ka janazah uthanay k wastay Naad e Ali (as) ki shakal may (x2) Sajjad (as) nay perha, Ali un Wali Ullah (x4)
Na’meharm’un ki bheer the darbar e Sham may Zainab (sa) nay day k khutba zaban e Imam (as) may Bay’waqt ki azan may (x2) dabnay nahi dia, Ali un Wali Ullah (x4)
Maa ki lehad pe bain Takallum they beti k Pehlo pe zakham kha k bachaya tha aap (sa) nay Mai nay rida luta k (x2) bachaya hai ba’khuda, Ali un Wali Ullah (x4) Haye Ali Haye Ali (x6) |