Abbas-e-Ali Aaye Karib-e-Shah-e-Abrraaaar (x2)
Bhai ko Alam deke kiya sheh ne bahot pyar Hans hans ke rafiko se ye karne lage guftaar Jaisi ye meri fowj hai waisaa hi Alamdar Ghaazi sa koyi deen ka sardar na hoga, Abbas sa dunya mein alamdar na hoga Sakhi Abbas hamara hain alamdar hamara, Abbas hamara hain alamdar hamara
Hashim ka qamarrrr Hashim ka qamar, haider-e-Karrar ka pyara Sakhi Abbas hamara hain alamdar hamara, Abbas hamara hain alamdar hamara
1) Haider ke gharane ki sakhawat sakhi abbas Khoone abu talib ki sadaqat sakhi abbas Zehra ki duwaon ki taharat sakhi abbas Kudrat ne banaya nahi phir, aisaa dubaraa. Sakhi Abbas hamara hay alamdar hamara, Abbas hamara hay alamdar hamara
2) Quran-e-wafa sher-e-nayafshaan-e-ali hai Zehra ki tamanna hai dil-o-jaan-e-ali hai Is ke liye bachpan hi se farmaan-e-ali hai Mai ilma ka darya hoon ye darya ka kanara Sakhi Abbas hamara hay alamdar hamara, Abbas hamara hay alamdar hamara
3) Paida huwe abbas to godi mein utha kar Zainab ne rakha naam kalejay se lagaa kar Chotaa sa alam sheh ne diya inko sajaa kar Dekha jo alamnay to alam khud ye pukara Sakhi Abbas hamara hay alamdar hamara, Abbas hamara hay alamdar hamara
4) Ye panjetan-e-pak ke lashker ka nishan hai Kehte hai ye Shabbir meraa shere jawaan hai Aisa koyi duniya mein alamdar kahan hai Sehwan se hai sheh baaz kalandar ka ye naaraa Sakhi Abbas hamara hay alamdar hamara, Abbas hamara hay alamdar hamara
5) Abbas-e-Ali ruh-e-wafaa jaan-e-wafa hai Abbas-e-Ali fatema Zehra ki duwaa hai Har waqt alam choomti rehti ye hawaa hai Bhoolaa nahi abbas ko darya ka kanaraa Sakhi Abbas hamara hay alamdar hamara, Abbas hamara hay alamdar hamara
6) Duniya-e Shahadat me kahan uskaa hai saani Jo saare shahidon ki safo me raha ghaazi Bay dasta bhi ho kar jo bhare jholiyaan sab ki Hashim ka kamar sare fakiron ka sahara Sakhi Abbas hamara hay alamdar hamara, Abbas hamara hay alamdar hamara
7) Haider ke gharane ki sakhawat sakhi abbas Khoonay abu talib ki sadaqat sakhi abbas Zehra ki duwaon ki taharat sakhi abbas Kudrat ne banaya nahi phir aisaa dubaraa Sakhi Abbas hamara hay alamdar hamara, Abbas hamara hay alamdar hamara
8) Lazim hai ke ham dekhenge ik roz ye manzar Farmayenge jab mehdiy-o- dora dar-e-mimbar Qabe se namudaar jo honga mera lashkar Honga yahi lashkar ka alamdar hamaraa Sakhi Abbas hamara hay alamdar hamara, Abbas hamara hay alamdar hamara
9) Yaad ata hai woh rukhsat-e-abbas ka manzar Woh rona sakina ka fareray ko pakadkar Woh dekhna Zainab ka kabhi sar kabhi chapar Kehti thi palat aa ye behen bhayi ka pyara Sakhi Abbas hamara hay alamdar hamara, Abbas hamara hay alamdar hamara
10) Abbas gaye ho gaya maula mere tanha Dekha kabhi maydaan to kabhi janib-e-darya Nagaah alam nehar pay girte huwe dekha Zainab se kaha sher gaya, nehr pe maraaaa Sakhi Abbas hamara hay alamdar hamara, Abbas hamara hay alamdar hamara
11) Ay "Sarwar-o-Rehan" ye imaan hai apna Abbas ke parcham ka sada sarpe hai saya Parne ke liye hashra mein Shabbir ka nawha Abbas bulaayenge hame, karke isharaaaa Sakhi Abbas hamara hay alamdar hamara, Abbas hamara hay alamdar hamara
Hashim ka qamarrrr Hashim ka qamar, haider-e-Karrar pyara Sakhi Abbas hamara hay alamdar hamara, Abbas hamara hay alamdar hamara
|