Wa waila sad wa waila Kaisa ye din teera ka charrha - wa waila Kar gayi Zehra aaj qaza - wa waila Baap ke gham may haey ghazab haey (x2) Din raat jo karti theen noha - wa waila
Saal abhi atharwan tha - wa waila Marnay ka sin hargiz ye na tha - wa waila Kha gayi haey haey kaisi qaza haey (x2) Bibi ka na kuch armaan nikla - wa waila Wa waila sad wa waila wa waila
Kyun na kalejain gham se phatain - wa waila Ho gaye bin maa ke bachay - wa waila Kehti hay Fizza haey ghaza haey (x2) Hay kyun na hya khoon in ankhon se baha Wa waila sad wa waila wa waila
Ghash may hain Shabbir e Muztar - wa waila Peet-tay hain sar ko Shabbar - wa waila Zainab o Kulsoom khak basar haey (x2) Mehdi hay ik mehshar barpa Wa waila sad wa waila wa waila |