Haey baad-e-Rasool ummat nay Fatima ko bohat sataya hay
Us kay ghar ko jalanay aaye hain, jis kay ghaar main Quran aaya hay
1) Bharay darbaar may musalmaan nay dono jhutla diye hain laal us kay Jaanay kaisa salook kaar dala pal may ho gaye safaid baal us kay Gir kay bayhosh ho gayi Zehra, haal Zainab ko jab sunaya hay
2) Boli Fizza issay rulao na jhirkiyan do na kuch toh sharam karo Dekh jis ko Nabi kharay rehtay us ko darbaar main khara na karo Royi jab ladli Muhammad ki, sara darbaar muskaraya hay
3) Teri hi maa ka naam hay Zainab aur Shabbir hay sabar tera Teray aansu Sajaad kay aansu, aur Sakina may hay asaar tera Teray bachon nay Bibi teri tarha, zulam seh kay yeh deen bachaya hay
4) Jo ajar syedan nay hay paaya kaisay koyi lagaiay andaaza Jab musalmano nay kiya humla yun laaga Fatima ko darvaza Zakhmi pehlo say paak bibi nay, mar kay bhi haath na uthaya hay
5) Na Hassan daar hay koi mehshar ka aur nah khauf hay jahannum ka Hum azadaron ko to bus Bibi aasara hay bohat teray ghum ka Qasam Ghazi ki khush naseeb hay woh, jis kay dil main yeh ghum samaya hay
|