Abbas meray sar ki qasam kha
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi



Abbas mere sar ki qasam kha

Abbas

Ghar se chale jab behre safar, sibte payambar (x2)
Kehne lagi Abbas ki madar, shere dilawar (x2)
Eik nasihat karti hun me, ay mere dilbar (x2)

Gham koi bhi shabbir ke ayega nahi paas,
Abbas.......

Ujrega na zehra ka bhara ghar, Abbas mere sar ki qasam kha

Abbas mere sar ki qasam kha (x2) Abbas

1. Ay buzu-e shabbir wafadar qasam kha,
Ujrega nahi zehra ka gharbar qasam kha,
Rakh haath mere sar pe tu ik baar qasam kha, Abbas,
Aaqa pe fida hoga tera sar

Abbas mere sar ki qasam kha (x2) Abbas

2. Jab tak tera shano pe rakha he ye tera sar,
Ayenge nahi khayma-e sarwar me sitaghar,
Gar aaye su-e khayma laeeno ka wo lashkar, Abbas
Jaan de ke bachana hai tujhe ghar

Abbas mere sar ki qasam kha (x2) Abbas

3. Ye bazu nigehbaan hai zainab ki rida ke,
Narghe ho agar charo taraf ehle jafa ke,
Tu rakhega shehzadi ko parde me chhupa ke, Abbas
Jaegi na shehzadi ki chadar

Abbas mere sar ki qasam kha (x2) Abbas

4. Saqqa hai tu saqqayi pe jaan apni lutana,
Pyasi ho agar aal-e-nabi paani pilana,
Din raat sakina ko kaleje se lagana, Abbas
Roegi na shabbir ki dukhtar

Abbas mere sar ki qasam kha (x2) Abbas

5. Kar wada ke ye qafla hargiz na lutega,
Jis tarha chala ghar se ye waisa hi milenga,
Ye jhula bhi aur jhoolne wala bhi rahenga, Abbas
Ajayenge ghar laut ke asghar

Abbas mere sar ki qasam kha (x2) Abbas

6. Doran-e-safar dhyan rahe ehle haram ka,
Har waqt unhe saya mile tere alam ka,
Ik pal bhi na sadat ko ehsas ho gham ka, Abbas
Na dhup parhegi kabhi unpar

Abbas mere sar ki qasam kha (x2) Abbas

7. Ye baat mere laal tujhe bhi to khabar hai,
Tu fatema zehra ki duawon ka samar hai,
Sarwar ho agar dhup me tu misle shajar hai, Abbas
Khanjar na chalega shahe deen par

Abbas mere sar ki qasam kha (x2) Abbas

8. Phir “mazhar-o-irfan” ye bola wo dilawar,
Ye jaan bhi qurban hai zehra ke pisar par,
Kyun aap ye kehti hai meri madar-e-muztar, Abbas
Lut jaye na zehra ka bhara ghar