Zindah hai kaise Banu-e-muztar tere baghair Veeran saree duniya hai Asghar terey baghair
AAtee to hogee yaad-e Sakina tujhe bhee la-al Bechain hai yahaan tery khwahar tere baghair
Sughra na sun sakegee gala chid gaya teraa Waise hee jaa-n ba-lab hai woh laghar tere baghair
Jangal ke soone pan mein woh nanha sa tera s-i-n Maqtal se jaai kaise yeh maadar tere baghair
Zainab ke saath saath hain Laila bhee di figaar "Akbar tere baghair, Ali asghar tere baghair"
Paane kahan ke aas bhee pani kee ab nahin Tishna laboon ko sanee-e-Haider tere baghair
Abbas kuch to deejiye sahara Hussain ko Kaise Uthain laasha-i-Akbar tere baghair
Akbar [Edited Out]aab aao sahara pedar ko do Uth-ta nahin hai laash-e-baradar tere baghair
Maula Dayar-e quatl se shaer-e Rasoool tak ruswa huai-e hain aal-e payambar tere baghair
Is darjah dil kharaash theiy manzar be Karbala Roo-ee Zameen rooya hai Amnbar tere baghair
Sharib abus woh karte hain jannat kee aarzoo Rakht-e hain deen jo dama-e Sarwar tere baghair. |