Joon joon bazaar qareeb aaya Zainab ko Ghazi yaad aaya
Hathon se ya phir balon se, chehre ko chupale shehzadi Ye Shaam shehr ki galiyan hain, dil thaam le ay aaqa zadi Fizza ne jab ye batlaya, Zainab ko Ghazi yaad aaya Joon joon bazaar qareeb aaya
Mahol sharabi jab dekha, baba ki wasiyat yaad aayi Koi to mujhe chadar laa de, honton pe yehi faryad aayi Jab koi nahi chadar laaya, Zainab ko Ghazi yaad aaya Joon joon bazaar qareeb aaya
Phir sham ke logon ne badla, ajdad ka yun Zainab se liya Chadar cheeni pathar maare, aur garm kabhi pani phaynka Durra jo sakina ne khaya, Zainab ko Ghazi yaad aaya Joon joon bazaar qareeb aaya
Abbas kahan hai aey Zainab, jab shimr haqarat se bola Ghash khanay lagay sab ahle haram, Kulsoom pukari wa vaila Sajjad ko yasrab yaad aaya, Zainab ko Ghazi yaad aaya Joon joon bazaar qareeb aaya
Khamosh rahi aulad e nabi, Karbal se yahan tak zulm saha Khooni ye manadi kehne laga, ye kunba hai ek baaghi ka Mazloom jo baaghi kehlaya, Zainab ko Ghazi yaad aaya Joon joon bazaar qareeb aaya
Har gaam naya ek zulm hua, lachaar musafir zainab par Zainab ko rulaaya zaalim ne, naaqon ke kareeb naiza laakar Shabbir ka sar jo dikhlaya, Zainab ko Ghazi yaad aaya Joon joon bazaar qareeb aaya
Farhan qayamat ka gham hai, Mazhar ne likha hai kya nauha Shabbir bina Abbas bina, ye pehla safar tha Zainab ka Joon joon bazaar qareeb aaya
|