Mujrae Khalq main in aankhon ne kya kya dekha. Par kahin Sibte payamber sa na aqa dekha.
1) Main nay dekha alam-e-Shah ko aalooda ba-khoon Main nay neze pay sar-e-dilbar-e-Zahra dekha.
2) Main nay dekha Ali Asghar ka gala khoon main ter Main nay Abbas ko raiti pai tarapta dekha.
3) Aik ghatri Shah-e-deen pusht pai layai us main Main nay tukrai howe Qasim ka sarapa dekha.
4) Haye kyon ho na gaee kor k in aankhon nay Qaid khanay main Sakina ka janaza dekha.
5) Boli yay Zainab-e-muztar k khuda khair karai Raat ko khwab main uryan sar-e-Zahra dekha.
6) Ja kai Zainab nai medinai main kahan Sughra sai Kahon kis moon say k pardes main kya kya dekha.
7) Zulm ay mujraee Sajjad nay kya kya dekha Ghar luta, qaid howe, baap ka lasha dekha.
|