Ali Akbar kahan ho tum
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Ali Akbar
Merey beta ali Akbar,

Jao maqtal ki taraf beta,magar mujhko peechey murr murr key dekhtey rehna
beta Ali Akbar

Is zaeefi mey tumhara baba tumhari judaayi bardaasht nahi karsakta Merey
beta Ali Akbar,

Aye Khudaa tu gawaah rehna (2) my us jawaan ko maqtal ki taraf bhej raha hoon, Jo shabi e payambar hai, Jo soorat mey Jo seerat mey terey nabi jaisa hai, Merey beta qudaa haafiz.....
Ali Akbar kaha ho tum, sadaa tum Kyun nahi detey (2)

Basaarat hogayi hai kamm, sadaa tum Khan nahi detey...

1) Kisi betey ki Maa me hausla aisa nahi dekha,
Jigar laaye kaha se koi maadar ummey laila sa,
Jo hi chaahey ke betey ko Merey rutbaa shahaadat ka.
Ali Akbar kaha ho tum....

2) Mujhey gherey huwey Har gaam Dard o ghum ka toofaa hai,
Padar ka haal mat poocho ke ab marney ka saamaa hai,
Tumhey bass dekhloon Ek baar Merey dil ka armaa hai.
Ali Akbar kaha ho tum.....

3) Tumhari maut ka koi tasawwur Kar nahi sakta,
Sitamgaaro se mera sher hargiz dar nahi sakta,
Jamaaley mustafa tasweerey haider mit nahi sakta.
Ali Akbar kaha ho tum.....

4) Nikaala hai abhi zainab ney terey naam ka sadqaa,
Sataata hai magar Phir Bhi dil e laila ko ye dhadka,
Kahii barchi nazar aaye terey seeney me aye beta.
Ali Akbar kaha ho tum....

5) Bharey ghar me ye veeraani ye wehshat khaaye jaati hai,
Teri furqat Merey dilbar mujhey tadpaaye jaati hai,
Teri Yaado me Bas ye damm lahoo barsaaye jaati hai.
Ali Akbar kaha ho tum....

6) Hai qaaq o qoon mey galtaa kahii noor e nazar mera,
Dikhaayi Kyun nahi Deta mujhey laqtey jigar mera,
Huwa hai shaamiyo ke darmiyaa gaayib qamar mera.
Ali Akbar kaha ho tum....

7) Pahunchkar laash pey manzar ajab Shabbir ney dekha,
Lahoo ki mauj mey dooba huwa hai chaand Sa chehra,
Sinaa dekhi Jo seeney me rahaa na zabt ka yaara.
Ali Akbar kaha ho tum.....

8) abad Shabbir key hoto pey maqtal me ye Nauha tha,
Zayeefi me uthaata hoon jawaa betey ka my laasha,
Madad ko aayiye baba, madad ko aayiye baba.
Ali akbar kaha ho tum.....