Dil band-e-Fatima pai zaalim reham na aaya Tashna labi main tu nai mehman ka khun bahaya
Bai ghoro bai kafan tha lasha shahai zaman ka Ser nok-e-naiza per hai darbar shaam aaya
Abbas tum kahan ho lo khaimai jal rahain hain Bai perda bibiyon pai hai aasman ka saya
Asgher to bai kafan the laikain the khoon-e-Haider Hurmal nai teer khaincha masoom muskaraya
Bazar-e-Shaam main jab aayi Ali ki beti Tufan patharon ka charon taraf sai aaya
Qur'an perhnai walai who kaisai musalman thai Tasveer Fatima ko derbar main bulaya
Gulzar Kerbala main aayai Qur'an walai Afsos bai kason ko pani mila na saya |