Zehra ke dularon pa ajab zulm o jafa hai Toofane gham o dard hai aur aale abaa hai Aey qaayam o qayoom tu sab dekh raha hai
Pyase hai gulistane payambar ke gulay tar Lab khushk hai bachon ke har ek fard hai muztar Garmi se ghareebo ka bura haal hua hai, tu dekh raha hai Zehra ke....
Kehte hain jise log Muhamed ka nawasa Afsos hay is baat ka wo shaks hay pyasa Band uske dularon ke liye aab-o-ghiza hai, tu dekh raha hai Zehra ke....
Maare gaye jab nehr par abbase dilawar Zainab ko yakheen hogaya ab jayegi chadar Jo aasra mazloomo ka tha tooth chuka hai, tu dekh raha hai Zehra ke....
Ek baap pa kaisi ye qayamat ki ghadi hai Qadmo mAey ghamo dard ki zanjeer padi hai Farzand jawan saamne dam todh raha hai, tu dekh raha hai Zehra ke....
De kisko sada koi nahi sab gaye maare Abbas ke shane kate darya ke kanare Ek din mAey chaman fatema Zehra ka luta hai, tu dekh raha hai Zehra ke....
Aaghosh se madar ki jise laaye thAey shabbir Pani ke ewaz aada ne ki unki ye tauqeer Baysheer ki gardan mAey laga teere khaza hai, tu dekh raha hai Zehra ke....
Mehman tere bhayd tu behtar hai samajhta Mamoor ka dil isliye khoon rota hai maula Shabbir ka sar Shimre layeen kaat raha hai, tu dekh raha hai Zehra ke.... |