Kehti rahi Sakina beemar saaraibaan say
Efforts: Ali Imran

Kehti rahi Sakina beemar saaraibaan say
Hogi Rehahi mer kai bahiya meri zindaan say

1) Is kaal kothari main hai zulm ka andhera
Mujhai chor kai na jao dam guth raha hai mera
Asgher ki terha main bhi bichiri hun aj ma say

2) Hain dagh tamachon kai mehsar talak rahain gain
Bahiya yateem ho kai kab tak sitam sahain gain
Masoom puchti thi Sajjad natawan say

3) Dur cheen ker Kamina rahon main keh raha tha
Hain kaan merai zakhmi aur khoon beh raha tha
Roti ho kyun lipat ker Abbas kai nishan say

4) Aulad walai mil kai insaaf khud karain who
Jin Baitiyon kai baba perdais ja marain who
Roti nahi bichar kai Kiya apnai baba jaan say

5) Baba ko yaad ker kai zindan main ro rahi hay
Seenai pai sonai wali mayi pai so rahi hay
Kiya jurm ho gaiya tha Masoom nani jaan say

6) Sajjad nai janaza zainda sai jab uthaya
Afsos sath koi hai Kalma go na aya
Aisai saluk koi Kerta nahi mehman say