Pyaas itni hai kay bister say bhi uthna mushkil, hai marez aisa kay kerwat bhi badelna mushki, Dhomp itni hai kay sehra may teharna mushkil, Zauf aisa hai kay doo gaam bhi chalna mushkil, Saikdo zakhm liye abid-e-dilgeer chala, hai is haal may pehne howay zanjeer chala.
Hai sajjad ki tanhayi pay rona aaya(x2) Natawani ko tawanayi pay rona aaya,
Hai sajjad ki tanhayi pay rona aaya(x2)
1:Shoore matam tha idher loog udher haste the, Qaimay jalte the idher baaj udher bajte the, Waqt ko zulm ki shehnayi pay rona aaya.
Hai sajjad ki tanhayi pay rona aaya(x2)
2:Aik rasen baara gale aur wo asiro ki qatar, Shimer ka panja sakina kay wo nazok ruksar, Natawa bhai ko majaye pay rona aaya.
Hai sajjad ki tanhayi pay rona aaya(x2)
3:Pocha zainab nay kay kyo rote ho bolo bhaiyya, Ayi awaaz ye bazaar sitam hai behna, Bhai ko yoo teri roswayi pay rona aaya.
Hai sajjad ki tanhayi pay rona aaya(x2)
4:Jub sina per sare shabbir ko rote dekha, Roke rahib nay kaha kaash mai andha hota, Aaaj in ankho ko binayi pay rona aaya.
Hai sajjad ki tanhayi pay rona aaya(x2)
5:Uthe sajjad jo dafna kay behan ka laasha, Asmaa roya zameen royi zamana roya, Qaid qane ko bhi is bhai pay rona aaya.
Hai sajjad ki tanhayi pay rona aaya(x2)
Bole maqbool o amanat say tadap ker ye mujeeb, Pusht per koote baraste hi rahe ha ye naseeb, Jub bhi zainab ko game shah pe rona aaya.
Hai sajjad ki tanhayi pay rona aaya(x2) |