Sajjad ki ghairat ne dekhay Kia manzar Shaam ki raahon may Dekha hay Syed zadion ko Be chadar Shaam ki rahoon may
Gardan ko jhuka kar rota tha Jab dekha saja bazaaron ko Bazaar may jab laey zaalim Be parda parday daron ko Abid ke jigar par chalta tha Ik khanjar Shaam ki rahoon may
Pur khaar safar ka gham tha aur Na sadma tauq aur berri ka Ik dard shah e mazloom ka tha Ik gham tha haram hain be parda Guzra hay safar beemar ka bas Ro ro kar Shaam ki raahon may
Durron ki aziyyat sehta hay Zakhmo se khoon bhi behta ha Aur Shaam ke logon se Aabid Dil tham ke bas ye kehta hay May itna sawali hoon de do Bas chadar Shaam ki rahoon may
Sajjad tarrap kar kehta tha Ye Shaam ke logon se aksar Aey Shamiyon itna batlao Kyun rehm nahi khatay ham par Aulad e Payambar par barsay Kyun pathar Shaam ki rahoon may
Naizay pe jo dekha sar Sheh ka Beemar ne dil ko thaam liya Farmaya baba dekhiye to Ummat ne kaisa haal kiya Phirta hoon haram ko sath liye May dar dar Shaam ki rahoon may
Pardes may apnay shahr ka har Ik mazar yaad aa jaa ta tha Wo shaan o shaukat sooch ke hi Ankhoon se lahoo barsata tha Aata tha Madina yaad usay Jab aksar Shaam ki rahoon may
Jo dard sahay hain Aabid ne Tareekh bhulaey gi kyunkar May dekh raha hoon rahon ko May dekh raha hoon wo manzar Hain ab bhi wohi bazaar sajay Hain Safdar Shaam ki rahoon may
|