Allah Allah Min Rasil Hussain
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Allah Allah Min Rasil Hussain (as)

Ya Hussain (as) Ya Hussain (as)

(Rasil Hussain (as) Dil-e-Jahan) (x8)
Salam Bar Muharam
Salam Bar Karbala
Salam Bar Aashura
Salam Bar (Hussain (as)) x30
Assalamo Alal Hussain (as)
Wa Ali (as) Ibnil Hussain (as)
Wa Auladil Hussain (as)
Wa Ashaabil Hussain (as)

Asalamo Alal Shaibil Khazeeb
Asalamo Alal Khadit Tareeb
Asalamo Alal Badan-e-Saleeb
Asalamo Alal Taghril Maqro-e-Bil Qazeeb
Asalamo Alal Rasil Marfoo
(Allah Allah Min Rasil Hussain (as)) x5

Haan (Aey Naiza Sawaaron Ki Qayadat Ke Shehanshaah) (x2)
Zulfain Teri Wal Lail Hain WaShams Hai Chehra
Aankhon Se Ayaan Noor-e-Muhammad s.a.w.w Ka Ujala
Lab Terey Hain Masroof-e-Tilawat Bin-e-Zahra s.a
Sajday Main Jhuka Sar To Ibadat Ka Sharaf Tha
Naizey Pe Uthha Sar To Ye Sar Dur-e-Najjaf Tha
Allah Allah Min Rasil Hussain (as) (x4)

Thi Pusht-e-Muhammad s.a.w.w To Issi Sar Ka Mussalla
Aur Chaader-e-Tatheer Hai Iss Sar Ka Ammama
Man Kunto Ka Khutba Hai Issi Sar Ka Khulaasa
Iss Sar Ke Sabab Karbobala Ab Hai Mualla
Ye Sar Na Jhuka Khanjar O Talwaar Ke Aagey
Sar Zulm Ka Kham Hai Terey Inkaar Ke Aagey
Allah Allah Min Rasil Hussain (as) (x4)

Rooh-e-Hussain (as)
Jabeen-e-Hussain (as)
Abru-e-Hussain (as)
Chashm-e-Hussain (as)
Rukhsaar-e-Hussain (as)
Dahan-e-Hussain (as)
Lab-e-Hussain (as)
Dandaan-e-Hussain (as)
Rukhsar-e-Hussain (as)
Reesh-e-Hussain (as)
Gulu-e-Hussain (as)
Zulf-e-Hussain (as)
Khushbu-e-Hussain (as)
Zehn-e-Hussain (as)
Fikr-e-Hussain (as)
Guftaar-e-Hussain (as)

Haan
In Aankhon Ko Hai Ahmed-e-Mukhtar s.a.w.w Ne Chooma
Zahra s.a O Ali (as) Ne Lab O Rukhsaar Ko Chooma
Zulfon Ko Hassan (as) Ne Hai Barey Payaar Se Chooma
Behno Ne Gala Isska Kaai Baar Hai Chooma
Sardari-e-Abbas (as) Issi Sar Se Juri Hai
Aur Zainab s.a O Kulsoom s.a Ko Ye Misl-e-Ali (as) Hai
Allah Allah Min Rasil Hussain (as) (x4)

Mojood Tha Iss Sar Main Muhammad s.a.w.w Ka Khazana
Maqsad Tha Issi Sar Ka To Islam Bachana
Zalim Ne Bohat Chaaha Tha Iss Sar Ko Jhukaana
Ye Sar Na Jhuka Kat Gaya Zahra s.a Ka Gharaana
Iss Sar Ka Safar Sun Ke Jahaan Rota Hai Ab Tak
Ghaibat Main Jo Hai Marsiya Khuwaan (as) Rota Hai Ab Tak Allah (Allah Allah Allah Min Rasil Hussain (as) (x4)

Aashur Ko Ye Sar Pas-e-Gardan Se Kata Tha
Zarbain Thin Lagi Teerah Bohat Khushk Gala Tha
Zainab s.a Ke Liye Waqt Qayamat Se Karra Tha
Zulfon Ko Pakar Ker Jo Ye Sar Shimr l.a Chala Tha
Afsos Sar-e-Nok-e-Sina Jab Ye Sar Aaya
Jalta Hua Ghar Sham-e-Ghareebaan Ka Tha Sayaa
Allah Allah Min Rasil Hussain (as) (x4)

Iss Sar Ke Masaayeb Ka Ye Pur Dard Hai Qissa
Khooli l.a Ne Issey Ghar Main Jo Tandoor Main Rakha
Raat Aai To Phir Zoja-e-Khooli Ne Ye Dekha
Tandoor Sey Ek Noor Ka Darya Hai Ubaltaa
Ik Bibi s.a Siyaah Posh Ney Iss Sar Ko Uthhayaa
Ro Ro Ke Kaha Haaye Ghareeb-e-Bin-e-Zehra s.a
Allah Allah Min Rasil Hussain (as) (x4)

Rahib Ne Ye Sar Dekha Tha Jab Nok-e-Sina Per
Khooli l.a Se Kaha Kon Hai Ye Kisska Hai Sar
Bola Wo Bad Atwaar Ke Ye Hai Bin-e-Haider (as)
Rahib Ne Wo Sar Ley Lia Khooli l.a Ko Dia Sar
Sar Goud Main Rakhey Huey Rota Raha Rahib
Aawaz-e-Fughaan Zahra s.a Ki Sunta Raha Rahib
Allah Allah Min Rasil Hussain (as) (x4)

Ye Sar Kabhi Sandooq Main Tandoor Main Rakha
Iss Sar Ko Darakhton Pe Laeenon Ne Sajaaya
Naizey Pe Issey Shehar Ki Galiyon Main Phiraaya
Ham Raah Aseeron Ke Ye Sar Sham Jab Aaya
Sajjad (as) Ko Zainab s.a Ko Rulaatey They Sitamgar
Sar Baali Sakina s.a Ko Dekhaatey They Sitamgar
Allah Allah Min Rasil Hussain (as) (x4)

Darbar-e-Yazeedi l.a Main Bapa Jashan-e-Taraf Tha
They Aik Taraf Ahl-e-Haram Muztar O Giryaa
Aur Saamney Tha Takht Pe Marjaana l.a Ka Beyta l.a
Uss Takht Taley Sar Tha Hussain-e-Bekhata (as) Ka
Badmast Laeen Nashey Main Lalkaar Raha Tha
Dandaan-e-Shah-e-Deen (as) Pe Chharri Maar Raha Tha
Allah Allah Min Rasil Hussain (as) (x4)

Jiss Waqt Ye Sar Shaam Ke Zindaan Main Aaya
Sar Bhai (as) Ka Zainab s.a Ne Kalejey Se Lagaya
Sajjad (as) Ne Beyhosh Sakina s.a Ko Jagaya
Sar Baba (as) Ka Pehlu Main Sakeena s.a Ne Jo Paaya
Aey Sarwar O Rehan Qayamat Ka Samaa Tha
Shabbir (as) Ka Sar Rota Tha Aur Shor O Fughaan Tha
Allah Allah Min Rasil Hussain (as) (x4)

Asalamo Alal Hussain (as)
Asalamo Alal Rasil Marfoo.