Na Poochiye Keh Kya Hussain Hai
Efforts: Talib e dua



Kya Hussain Hai!
Na poochiye keh kya Hussain hai

Khuda ke deen ka nakhuda,
Her ibtida ki ibtida
Karam ki intiha Hussain hai,

Kya Hussain Hai!
Na poochiye keh kya Hussain hai

Karey joi koi humsari, kisi ki kya majaal hai
Jahan mein her lehaz se, Hussain bey misaal hai

Yeh hochuka hai faisla
na koi doosra khuda
na koi doosra Hussain hai

Kya Hussain Hai!
Na poochiye keh kya Hussain hai

Naseer e sham per nigah, ki to Hur bana diya
jo mer rahey they un ko zindigi ka gur sikha diya

thi her taraf jahan sada
khula yeh raaz bhi wahan
hayat baantta Hussain hai

Kero gey ker mukhalifat, gham e Hussain ki yahan
woh hashr hoga hashr mein, keh Al Hafeez o Al Amaan

Jahan bhi chupney jao gay,
Kaheen bhi chup na pao gey,
keh her jagha mera Hussain hai

Kya Hussain Hai!
Na poochiye keh kya Hussain hai

Hai jis ki fikr Karbala, Hussain woh doimagh hai
yeh panjetan ki anjuman, ka paanchwan chiraagh hai

Hasan ka pehla humsafar
Ali ka doosra pisar
Imam teesra Hussain hai

Kya Hussain Hai!
Na poochiye keh kya Hussain hai

Woh jis ne baandh ker hawa, jala diya bujha diya
zameen ko jis ne arsh se, buland martaba diya

woh jisne kayenaat ka
nizaam hi badal diya
ek aisa maojaza Hussain hai

Kya Hussain Hai!
Na poochiye keh kya Hussain hai

Kisi ko hosla diya, kisi ko baaksh di seher
diye kisi ko baal o per, kisi ko de diye piser

pukaari banda perwari,
lughat mein ehl e ishq ki,
madad ka tarjumaan Hussain hai

Kya Hussain Hai!
Na poochiye keh kya Hussain hai

Shaheed e karbala ka gham, jisey bhi nagawaar hai
Woh bad-amal hai bad-nasab, usi pe beyshumaar hai

Arey o dushman e aza,
tu mer zara, lehed mein ja,
pata chaley ga kya Hussain hai

Kya Hussain Hai!
Na poochiye keh kya Hussain hai