Aaj Kufay may Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain Baap ko apne Zehra ke dilbar ro rahe hain
Behrobar may hai ghul Aaj barpa wa ali ka Aaj jibraeel arshe bari par ro rahe hain Aaj Kufay may....
Aaj shehzadiyan hai pareshan shahe zeeshan Uthke taskeen do behre daawar ro rahe hain Aaj Kufay may....
Chorr kar humko baba sidhare be-sahare Betiyan Fatima ki ye keh kar ro rahe hain Aaj Kufay may....
hai yateemo ke bewaon ke waali shahe aali Ab na waaris raha koi sar par ro rahe hain Aaj Kufay may....
Hay janaze pe ek shor barpa bekaso ka bBap se lipte shabbir-o-shabbar ro rahe hain Aaj Kufay may....
Khaak udate hai sar par nawase mustufa ke Ghar se jaata hai taboote hyder ro rahe hain Aaj Kufay may....
Aey Himayat azadare hyder peet kar sar Aaj is tarhe nohay ko sunkar ro rahe hain Aaj Kufay may.... |