Aseeri me baba bohot yaad aaye
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Aseeri me baba bohot yaad aaye
Khuda betiyo ko yeh din na dekhaaye

Main bhuki hoon pyaasi hoon baba ka gam hai,
Sakina pe haaye yeh kaisa sitam hai,
Yateeme me durre tamache bhi khaaye,
Aseeri me baba bohot yaad aaye

Jo ungli pakad kar ghmuta tha mujhko,
Jo seene pe apney sulata tha mujhko,
Woh maqtal me sooya hai sar ko kataye
Aseeri me baba bohot yaad aaye

Zamee par jo soote hai nanhi sakina,
Bohot yaad aata hai baba ka seena,
Mujhe kaash seene pe phir woh sulaaye,
Aseeri me baba bohot yaad aaye

Jo fauje sitamgar satate hai amma,
Vatan ke bohot yaad aate hai amma,
Kisse ko na rab aise gurbat dekhaye,
Aseeri me baba bohot yaad aaye

Sakina hai sharminda tumse chachajaan,
Main ghar jau mujhko kasam hai chachajaan.
Jo hotto pe paani ka ab naam aaye
Aseeri me baba bohot yaad aaye

Daba lunge seene me tashna dahani,
Khuda ke kasam ab na magungi paani,
Chacha se kaho jald se laut aaye,
Aseeri me baba bohot yaad aaye

Sitam dekho pyaaso ko paani dekha kar,
Zamee par baha dete hai yeh sitamgar,
Yateemo pe koe taras bhi na khaaye,
Aseeri me baba bohot yaad aaye

Woh nanha sa pyaara sa masoom asgar,
Bohot dil machalta hai bahoo me lekar,
Yeh majbur jee bhar k jhula jhulaaye,
Aseeri me baba bohot yaad aaye

Mere sar pe baba ka saya nahi hai,
Magar koe purse ko aaya nahi hai.
Nahi koe apna, sabhi hai parayee,
Aseeri me baba bohot yaad aaye

Woh teero se baba ka chalne badan tha,
Sitam uss pe dekho juda sar se tann tha,
Koe bete kaise yeh manzar bhulaaye
Aseeri me baba bohot yaad aaye