Jannat ke sardar ya Hasan Jannat ke sardar ya Hussain
Hussain ya Hussain Hussain ya Hussain
Panjetan ke gharane ka jo hubdaar nahi Mehshar me shafaat ka wo haqdaar nahi hai
Tehreer Muhammed ki jo khatir me na laye Jo hoke musalman dil e zahra ko dukhae Batlao tumhi kya wo gunahgaar nahi hai
He nadaliye ansu hai momin ki nishani Jannat me leke jaega aankho ka ye pani Gham me hussain ke jo sogwaar nahi hai
Beyaar o madadgaar muhammed ka nawasa Karbobala ke bann me hai mara gaya pyasa Aal e rasul ka jo azadar nahi hai
Allah ne bade pyar se panjetan ko banaya Ye mere hai mai inka hu ye sabko bataya Farman e khuda se jise aitbaar nahi hai
Tehreer Muhammed ki jo khatir me na laye Jo hoke musalman dil e zahra ko dukhae Batlao tumhi kya wo gunahgaar nahi hai
Aajaiye khudara mere barwe imam Khursheed ki aankhen hai muntazir ye subho shaam Jis jis ko qayam ka intezaar nahi hai Mehshar me shafaat ka wo haqdaar nahi hai....
|