Jun jun bazaar qareeb aaya Zainab jo Ghazi yaad aaya
Hathon se ya phir balon se chehre ko chupale shehzadi Ye sham shehr ki galiyan hai dil thaam le ay aaqazadi Fizza ne jab ye batlaya, Zainab jo Ghazi yaad aaya Jun jun bazaar....
Mahol sharabi jab dekha baba ki wasiyat yaad aayi Koi to mujhe chadar laa de honton pe yehi faryad aayi Jab koi nahi chadar laaya, Zainab jo Ghazi yaad aaya Jun jun bazaar....
Phir sham ke logon ne badla ajdad ka yun zainab se liya Chadar cheeni pathar maare aur garm kabhi pani phaynka Durra jo sakina ne khaya, Zainab jo Ghazi yaad aaya Jun jun bazaar....
Abbas kahan hai ay zainab jab shimr hikharat se bola Ghash kahan lagay sab ahle haram kulsoom pukari wavaila Sajjad ko yasrab yaad aaya, Zainab jo Ghazi yaad aaya Jun jun bazaar....
Khamosh rahi aulad e nabi karbal se yahan tak zulm saha Khooni ye manadi kehne laga ye kunba hai ek baaghi ka Mazloom jo baaghi kehlaya, Zainab jo Ghazi yaad aaya Jun jun bazaar....
Har gaam naya ek zulm hua lachaar musafir zainab par Zainab ko rulaaya zaalim ne naaqon ke kareeb naiza laakar Shabbir ka sar jo dikhlaya, Zainab jo Ghazi yaad aaya Jun jun bazaar....
Farhan qayamat ka gham hai mazhar ne likha hai kya nauha Shabbir bina Abbas bina ye pehla safar tha Zainab ka Jun jun bazaar....
|