Sajjad rehaai paakar bhi, pardes se ghar ko aa kar bhi jab ashk bahate rehte thay, Zainab se dukh dekhe na gaye Ek roz tadap ye poocha, sajjad tu kab tak royega Us waqt mere maula ne kaha
Amma apne muqaddar par, Sughra ke sawalo par Kyun na roye Sajjad
Ay meri phupi insaf tu kar naize pe jo dekhe baap ka sar Ho saath safar may wo jisne cheera tha ali akbar ka jigar Durro ki saza milti ho jahan bachon ko ashk bahane par Kyun na roye sajjad....
Tum chup chup kar khoon roti ho mai roun ko kyun kehti ho Roya na karo ay laal mere bhai ko gawakar baithi hoo Masoom behan ko zindan may jo chor ke tanha aaya ghar Kyun na roye Sajjad....
Naize se gira abbas ka sar mai dekh chuka hoo wo manzar Darbar may mai kyun mar na gaya jab naam tumhara le le kar Kehta tha layeen zainab hai kahan le aao yahan par be-chadar Kyun na roye sajjad....
Sab qatl hue mai zinda hoo bemaar sahi lad sakta tha Sharminda hoo mai asghar se wo teer e sitam se ladh to gaya Wo teer mere kyunkar na laga jis teer se ghayal tha asghar Kyun na roye sajjad....
Kyun saamne sughra ke jaun behtar to yehi hai mar jaun Tum zinda ho akbar na raha wo pooche to kya batlaun Kya sabr karo kya zapt karoo hai zakhm bahot dil ke andar Kyun na roye Sajjad....
Sar tasht may tha baba ka rakha aur taqt pe qaatil baitha tha Dandaane mubarak par unke khush hoke chadi wo maarta tha Afsos mai kuch bhi kar na saka ab tak hai usi se dard e jigar Kyun na roye Sajjad....
Rehan o Raza rotay rehna is dehr may hai jab tak jeena Nauhon ki azaane de de kar har shaks se ye kehte rehna Be gor o kafan masoom behan zindan may ho jiske haathon par Kyun na roye Sajjad....
|