Karbala Walon Ki Zinda Aaj Bhi Takbeer Hai
Efforts: Mir Qaisar Ali Qaisar

Karbala haye Karbala (2)

Karbala Walon Ki Zinda Aaj Bhi Takbeer Hai
Jabaja Barpa jahan me matam-e-Shabbir Hai,

Karbala Walon Ki Zinda Aaj Bhi Takbeer Hai (2)

Bewafai aur Abbas-e-Jari Mumkin Nahi
Ye Dua-e-Sayyeda ki Bolti tasweer hai.

Karbala Walon Ki Zinda Aaj Bhi Takbeer Hai

Poochtey hain Shah-e-Deen aye hurmila itna bata
Tashna lab nanhe Ali Asger ki kya Taqseer hai.

Karbala Walon Ki Zinda Aaj Bhi Takbeer Hai,

Zulm ki ye Inteha hai Sayyed-e-Sajjad par
Berida Darbar me jo Zainab-e-Dilgeer hai.

Karbala Walon Ki Zinda Aaj Bhi Takbeer Hai

Khutba-e-Zainab se Zalim istarha Bebas huwa
Jaise ye Khutba nahi hai Haidari Shamsheer hai.

Karbala Walon Ki Zinda Aaj Bhi Takbeer Hai

Waqiya Karb-o-bala ka guzre Sadiyaan Hogayeen
Aaj bhi taaza jahan me Matam-e-Shabbir hai.

Karbala Walon Ki Zinda Aaj Bhi Takbeer Hai

Daag-e-matam hian jo seenon par tumhare mominoo
Matam-e-Shabbir ki ye asl me Tasheer hai.

Karbala Walon Ki Zinda Aaj Bhi Takbeer Hai

Aashkar-o-Wasfe Haider ki hai ye Qaisar Sada
Majlis-o-Matam se har jaa Karbala Taameer hai.