Ho gaya marna sitam Abbas ka
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Karte hain matam haram Abbas(as) ka
Ho gaya marna sitam Abbas(as) ka

Aata hay zakhmi alam Abbas(as) ka
Ho gaya marna sitam Abbas(as) ka

1. Haaye labe neher hua kya ghazab
Teer laga mashk-e-Sakina(as) pe jab
Aagaya honton pe dam Abbas(as) ka

2. Kehtay hain ro ro ke yeh ahle haram
Jaaho hasham sabr-o-raza-o-karam
Kis tarah bhulenge gham Abbas(as) ka

3. Leke shehenshah-e-wafa se hayat
Choomne qadmo ko barrhi khud furaath
Dekh ke jaah-o-hasham Abbas(as) ka

4. Shah ke ghamkhwaar pe har ek pal
Sheh k azadaar pe har ek pal
Rehta hay ab bhi karam Abbas(as) ka

5. Phir mere maula se na sambhla alam
Paani baha hogaya thanda alam
Mashk me shayad tha dam Abbas(as) ka

6. Ab bhi hay besheer ke maqtal ki yaad
Ab bhi hay baaqi shahe karbal ki yaad
Karte hay ooncha alam Abbas(as) ka

7. Mashke sakina toh wahin ruk gayi
Shahe madina ki kamar jhuk gayi
Jab hua baazu qalam Abbas(as) ka

8. Ab kahan bujh paaegi dukhya ki pyaas
Toot gayi baali Sakina(as) ki aas
Hogaya baazu qalam Abbas(as) ka

9. Ashqe lahoo ro diya charke gohar
Ro diye besaakhta shahe zaman
Dekhke chhalni alam Abbas(as) ka

10.Naize pe uss qaari-e-quraan ke saath
Daaem-e-ghamkhwaar bhi yazdaan k saath
Karta hay nauha raqam Abbas(as) ka

Ho gaya marna sitam Abbas ka
Kartay hain matam haram Abbas ka

Ran se ye Shabbir ko ye aayi sada
Jald khabar lijye Shah e huda
Aap ke qadmo pe ho khadim fida
Ho gaye Abbas ke shanay fida

Ghamzada Zainab se ye Sheh ne kaha
Chorr sidharay hamain bhayya kahan
Mashk chidi khoon me alam bhar gaya
Ab na alamdar na lashkar raha

Gham may baraday ke hay tooti qamar
Chal basay Akbar nahi aata nazar
Kamptay hatho pe hay lash e pisar
Gham se phata jata hay Sheh ka jigar

Sibt e Nabi tum pe ho lakhon salam
Ho gaye ummat pe fida tashna kam
Arz ye ham sab ki hay tum se Imam
Roza dikha dijye shah e anaam