Haye Abbas ko larrne ki ijazat naa mili
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Haye Abbas ko larrne ki ijazat naa mili
Jung ki arzoo sine me tadhapti hi rahi

1. Bhagne ka na layi no pe bhi rasta bachta
Ek bhi dushmane shabbir na zinda bachta
Gazi bawafa sabr e karbala sabka hausla ibne Murtaza
Hukme shabbir se majbur rahi tegh e jari

2. Samne sani e zahra ke main sharminda hu
Mar gaye aun o mohd main abhi zinda hu
Gazi bawafa sabr e karbala sabka hausla ibne Murtaza
Sar jhukaye hue abbas ne yeh baat kahi

3. Mashq jab chhid gayi har shaks yehi kehta tha
Mashq ke chaak se ghazi ka lahu behta tha
Sakina ka jo baad maan tha sakina se woh sharam saar tha
Kaise bin hath ke maqtal me gira sher e ali

4. Aakhri waqt hai kehte hai yeh shahe abrar
Bhai abbas hume bhai to kehdo ek bar
Gazi bawafa sabr e karbala sabka hausla ibne Murtaza
Putliyaan phir gayi aaya jo zuba per bhai

5. Haye woh waqt sakina ke chhine jab gauhar
Haye woh waqt ke lagte the tamache muh per
Sakina ka jo baad maan tha sakina se woh sharam saar tha
Yaad aati thi sakina ko bht ghazi ki

6. Aye qamar shame ghariba me the abbas nahi
Kaha us waqt sakina ne mujhe pyas nahi
Sakina ka jo baad maan tha sakina se woh sharam saar tha
Chahiye pani ke daman me hai ab aag lagi