Kahan ho tum merai Ghazi, Zara Chali Aana Main Qaid ho kai chali X2 Aur watan hai bai ghana
Bana hai perda mera kon ab siva terai Na sar pai saya tera, na rahi rida merai Rida tu ban kai merai sar pai ghazi cha jana
Jo ghar sai nikili na waaqif na thi Bazaron ki Hain her su bikhiri huwi lashain bhi payaron ki Jissai Pehan kai hai zanjeer shaam ko Jana
Aa dekh hath bandhai merai hain passai gardan Behan Baaqiro Sajjad dekho toq-o-rasan Chali hun Aun-o-Muhammad kai dai kai nazrana
Tamachai maar kai Zalim mujhai rulatain hain Teri Sakina kai kaano sai khoon bahatai hain Lagi hai aag jo damin pai wo bujha jana
Misaal ban gayi duniya main aj teri haya Zamana rota hai ghar ghar pai yaad teri wafa Her aik lab pai Alamdar tera afsana |