Abbas kia karay
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Haay Abbas kya kare
Roka huwa hai tegh ko ghaazi hai tashnakaam
Hukme imaame waqt se majbur hai gulaam
Aray armaan saara jang ka ashkon me beh gaya

Abbas aaj laashe uthaane ko reh gaya
Milti nahi hai ran ki riza jab imaam se
Abbas kya kare
Laashon pe laashe aate rahe dekhta rahe
Abbas kya kare
Haay Abbas kya kare

Koyi bachha maqtal se jab
Khun me naha kar aata hai
Aaqa laasha laate hain to
Sharm se sar jhuk jaata hai
Tukrre huwe hain khaak pe wo god ke pale
Abbas kya kare
Laashon pe laashe aate rahe dekhta rahe
Abbas kya kare

Baba ijaazat milti nahi
Aaj bohot sharminda hun
Aun o Mohammad jaan se guzre
Aur mein ab tak zinda hun
Binte ali ke lakhte jigar dono mar gaye
Abbas kya kare
Laashon pe laashe aate rahe dekhta rahe
Abbas kya kare

Maqtal me kya haal huwa hai
Aaqa hasan ke bete ka
Dil me mere zakhm banaa hai
Qasim ke har tukre ka
Gathrri banaake laayi gayi mere saamne
Abbas kya kare
Laashon pe laash aate rahe dekhta rahe
Abbas kya kare

Ek tadbir ye maqtal ki hai
Mashk mein le kar jaawunga
Bibi sakina ki khaatir mein
Paani le kar aawunga
Maangi hai is ne izne wigaa haath jor ke
Abbas kya kare
Laashon pe laashe aate rahe dekhta rahe
Abbas kya kare

Darya saamne behta hai bas
Izn wigaa ka mil jaaye
Saaqi e kauthar ke batchon par
Paani bandh huwa haaye
Rote huwe ye aas se hain mujh ko dekhte
Abbas kya kare
Laashon pe laashe aate rahe dekhta rahe
Abbas kya kare

Khaahish ye hai aakhri lamha
Unki zyaarat ham paayen
Aisa nahi ho laash utha kar
mere aaqa thak jaayen
Aayen madad ko aaqa mere kis tarha kahe
Abbas kya kare
Laashon pe laashe aate rahe dekhta rahe
Abbas kya kare

Shadman paani lene gaye
Abbas ki mushkil kam na huwi
Teer qamar aankho me laga tha
Khun baha aur mashk tchidi
Sar pe laga hai gurz mere haath kat gaye
Abbas kya kare
Laashon pe laashe aate rahe dekhta rahe
Abbas kya kare.....