Sab ujarr jayega Zehra ka makaan asr k baad
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Sab ujarr jayega Zehra ka makaan asr k baad
Hoga Shabbir ke khaimo me dhuooan asr k baad

1) Subhe ashoor toh de di ali Akbar ne azaan
Kaun dega bhala magrib Ki azaan asr k baad

2) Ai sakina tere kaano se lahooo tapkega
Honge chehre pe tamcho k nishaan asr k baad

3) kaun masoom sakina pe taras khayega
Kaun samjhega yateemo Ki fugaaa asr k baad

4) laash Abbas Ki darya pe tadap jayegi
Jab bhi uthegi Sakina Ki fugaa asr k baad

5) Haye kis shaan se ayi thi amaari meri
Yaad aane laga zainab ko samaan asr k baad

6) kis tarha dil ko sambhalegi ali Ki beti
Ran me royegi Jo Shabbir ko maa asr k baad

7) kum se kum hai abhi bimaar ka bistaar baki
Warna taqdeer me araam kaha asr k baad

8) Laash Shabbir ki paamal karenge adaa
Khoon barsayega yeh sara jahan asr k baad

9) Haye Shabbir ke sine pe Jo sojati thi
Usko mil payega araam kaha asr k baad